Krishna Puri| Local Residents Solve Drainage Issue
Krishna Puri| Mandawali ki ek band gali mein pichhle 3 din se log pareshan the kyunki naali ke kaaran bike ka aana-jaana band ho gaya tha. Is samasya ka samadhan karne ke liye Girish, Prince aur Chandan ne milkar naali par fatta lagaya.
Yeh chhoti si pahal ab sabke liye badi rahat ban gayi hai. Logon ne iska swagat kiya hai aur ab unhe kisi tarah ki pareshani ka samna nahi karna pad raha hai.