logo
Select Language
Hindi
Bengali
Tamil
Telugu
Marathi
Gujarati
Kannada
Malayalam
Punjabi
Urdu
Oriya

Qarz Ke Dabao Ne Ghar Ko Ujaad Diya

Karnataka ke Bengaluru Rural ke Anekal taluk se ek intehayi khaufnaak waqia saamne aaya hai jahan 27 saal ke Mohan Gowda par ilzaam hai ke usne apni maa Asha (55) aur behen Varshita (34) ki jaan le li, jabke apne bhatije Mayank (11) par bhi hamla kiya.

Police ke mutabiq, yeh waqia us waqt saamne aaya jab mulzim ne apne rishtedaron ko ek video message bheja jismein usne apni zindagi khatam karne ki baat kahi. Pareshan ho kar ghar walay foran uske ghar pohanche. Darwaza band hone par unhone pichle darwaze ko tod kar andar dakhil hue.

Andar ka manzar dekh kar sab sakt shock mein aa gaye. Maa aur behen bejaan halat mein milein, jabke mulzim aur chhota bachcha zakhmi halat mein paye gaye. Dono ko foran hospital shift kiya gaya jahan unka ilaaj jaari hai.

Ibtidai tahqeeqaat ke mutabiq, Mohan Gowda par bhaari karz tha. Bataya ja raha hai ke usne chit fund mein paisa lagaya tha aur qarz bhi liya tha, jiske baad qarzdaaron ke dabao ne usay zehni taur par bohot mutasir kiya.

Police ne case darj kar liya hai aur mukammal tahqeeqaat jaari hain taake asal wajah aur poore waqia ki kadiyan jodi ja sakein.

Yeh waqia ek gehra sabaq deta hai ke maashi dabao aur zehni tanav kitna khatarnak mod le sakta hai agar waqt par madad aur support na mile.

#Bengaluru #CrimeNews #BreakingNews #Karnataka #FamilyTragedy #MentalHealth #StayAware #blazenews #blazenewsindia #blazenewsdaily #news #hyderabadnews #crimenews #hyderabadupdates #latestnews #hyderabad #blaze #hyderabadcrimenews #breakingnews #blazeinsta #blazefacebook #blazenewsdaily

Karnataka ke Bengaluru Rural ke Anekal taluk se ek intehayi khaufnaak waqia saamne Qarz Ke Dabao Ne Ghar Ko Ujaad Diya

#Bengaluru #CrimeNews #BreakingNews #Karnataka #FamilyTragedy #MentalHealth #StayAware #blazenews #blazenewsindia #blazenewsdaily #news #hyderabadnews #crimenews #hyderabadupdates #latestnews #hyderabad #blaze #hyderabadcrimenews #breakingnews #blazeinsta #blazefacebook #blazenewsdaily hai jahan 27 saal ke Mohan Gowda par ilzaam hai ke usne apni maa Asha (55) aur behen Varshita (34) ki jaan le li, jabke apne bhatije Mayank (11) par bhi hamla kiya.

Police ke mutabiq, yeh waqia us waqt saamne aaya jab mulzim ne apne rishtedaron ko ek video message bheja jismein usne apni zindagi khatam karne ki baat kahi. Pareshan ho kar ghar walay foran uske ghar pohanche. Darwaza band hone par unhone pichle darwaze ko tod kar andar dakhil hue.

Andar ka manzar dekh kar sab sakt shock mein aa gaye. Maa aur behen bejaan halat mein milein, jabke mulzim aur chhota bachcha zakhmi halat mein paye gaye. Dono ko foran hospital shift kiya gaya jahan unka ilaaj jaari hai.

Ibtidai tahqeeqaat ke mutabiq, Mohan Gowda par bhaari karz tha. Bataya ja raha hai ke usne chit fund mein paisa lagaya tha aur qarz bhi liya tha, jiske baad qarzdaaron ke dabao ne usay zehni taur par bohot mutasir kiya.

Police ne case darj kar liya hai aur mukammal tahqeeqaat jaari hain taake asal wajah aur poore waqia ki kadiyan jodi ja sakein.

Yeh waqia ek gehra sabaq deta hai ke maashi dabao aur zehni tanav kitna khatarnak mod le sakta hai agar waqt par madad aur support na mile.

#Bengaluru #CrimeNews #BreakingNews #Karnataka #FamilyTragedy #MentalHealth #StayAware #blazenews #blazenewsindia #blazenewsdaily #news #hyderabadnews #crimenews #hyderabadupdates #latestnews #hyderabad #blaze #hyderabadcrimenews #breakingnews #blazeinsta #blazefacebook #blazenewsdaily

2
1195 views

Comment