logo

26 January Ganatantra Diwas

Aaj ka din humare desh ke itihaas ka ek garvshali din hai. 26 January 1950 ko Bharat ne apna Samvidhan apnaya aur ek samprabhutva sampann, loktantrik ganatantra bana. Yeh din hume yaad dilata hai ki desh ki asli shakti uske nagrik hote hain.
Hamare purvajon ne azadi ke liye apna sab kuch nyochhawar kar diya, taaki hum aaj swatantrata, samanata aur nyay ke saath jee saken. Samvidhan ne hume adhikar diye hain, lekin un adhikaron ke saath-saath kartavya bhi diye hain.
Aaj jab hum vikas ki baat karte hain, to zaroori hai ki hum apne aas-paas ke muddon par bhi dhyaan dein — jaise sadkon, naalon, safai, shiksha aur suraksha. Desh tabhi aage badhega jab shehar, gaon aur mohalle majboot honge.
Aaiye, is Ganatantra Diwas par hum sab sankalp lein ki hum imaandari se apna kartavya nibhayenge, samaj mein ekta banaye rakhenge aur desh ke vikas mein apna yogdaan denge.
Ant mein, main sabhi ko phir se Ganatantra Diwas ki badhai deta hoon.
🇮🇳Jai Hind! Jai Bharat!🇮🇳
🇮🇳Sitesh Kumar Soni 🇮🇳

1
0 views