logo

PITA BANA HAIWAAN, 14 SAAL KI BETI KI CHUNNI SE GALAA DABA KAR HATYA@JazbaaNews

https://youtu.be/XkPbhYf5nAw

Reporter - SHAKEEL SAIFI

---

Pita bana haiwaan, 14 saal ki beti ki chunni se galaa ghoontkar ki hatya, shav nahar me phenk diya

Uttar Pradesh ke Bulandshahr me ek pita ne apni 14 varshiya beti ki chunni se galaa ghoontkar hatya kar di. Aaropi pita beti ke ghar se bar-bar paise churaane par naraz tha. Police ne aaropi ko hirasat me le liya hai aur shav ko post-mortem ke liye bhej diya hai.

Pita ne beti ki usi ki chunni se galaa daba diya aur shav ko nahar me phenk diya. Bataya ja raha hai ki beti ghar se aksar paise churaati thi, jis wajah se pita gusse me tha. Police ne aaropi ko hirasat me lekar pooch-taach shuru kar di hai.

SP Gramin Dr. Tejveer Singh ne bataya ki Friday shaam lagbhag 4:30 baje raahgiron ne Anivas nahar pul ke neeche ek kishori ka shav dekha. Kishori ne school ki uniform pehni hui thi. Shav ki pehchaan gaon Bichaula ke rahne wale Ajay ki 14 saal ki beti Soni ke roop me hui.

Soni class 7 ki student thi. School ke principal KK Sharma ne bataya ki Thursday ko dopahar Ajay apni beti ko school se bula kar le gaya tha. Uske baad jab police ne pita Ajay se pooch-taach ki to usne apni beti ki hatya karne ki baat kabul ki.

Ajay ne police ko bataya ki uski beti ghar se baar-baar paise churaati thi. Kuch din pehle usne puja ghar me rakhe danpatra se 500 rupaye bhi chura liye the. Isi wajah se gusse me aakar usne beti ko school se kheton me le jaakar chunni se galaa daba diya aur shav ko nahar me phenk kar ghar aa gaya.

Police ne kheton se student ka bag aur chunni bhi baramad ki hai. Parivar ki tahrir par aaropi pita ke khilaf mukadma darj kiya jaa raha hai.



#BulandshahrNews
#CrimeAlert
#ViralNews
#BreakingNews
#DaughterMurderCase
#BulandshahrCrime
#LatestUpdate
#ShockingNews
#TrendingNow
#UPNews

@HashtagMumbaiNews @MumbaiPoliceYoutube @maharashtrapolicefans0407 @iloveislamofficial786 @gallinewsmumbra @HindustaniReporter @maharashtratodaynews @aimamediaallindiamediaasso4209

10
93 views